Archana Online.com

…the online directory of Archana K B…

Archive for the ‘hindi films’ tag

Lyrics – Jodhaa Akbar – Jashn e bahaara

without comments

kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai – (2)
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein
chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
saare sehme najaare hain, soye soye waqt ke dhaare hain
aur dil mein koyi khoyi si baten hain
kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein
chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein

kaise kahen kya hai sitam, sochate hai abb yeh hum
koyi kaise kahen woh hai ya nahee humaare
karte toh hai saath safar, faasale hain phir bhi magar
jaise milte nahee kisi dariya ke do kinaare
pasa hain phir bhi paas nahee, humko yeh gum raas nahee
seeshe ki ik diwaar hai jaise darmiyaan
saare sehme najaare hain, soye soye waqt ke dhaare hain
aur dil mein koyi khoyi si baten hain
kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein
chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein

hamane ne jo tha nagma suna, dil ne tha usako chuna
yeh daastaan hame waqt ne kaisi sunayi
hum jo agar hai gumgin, woh bhi udhar khush toh nahee
mulaakaato mein jaise ghul si gayi tanhayi
milake bhi hum milate nahee, khilake bhi gul khilate nahee
aankhon mein hai bahaaren, dil mein khija
saare sehme najaare hain, soye soye waqt ke dhaare hain
aur dil mein koyi khoyi si baten hain
o ho… kehne ko jashn-e-bahaara hai, ishq yeh dekhke hairan hai
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan mein
chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein

Written by bluediamond

June 23rd, 2008 at 7:12 pm

Lyrics – Lakshya – Main aisa kyun hoon

with one comment

Main aisa kyun hoon -4
Main aisa kyun hoon -3
Main jaisa hoon main waisa kyun hoon
Karna hai kya mujhko ye maine kab hai jaana
Lagta hai gaaunga zindagi bhar bas ye gaana
Hoga jaane mera ab kya
Oh…
Koyi toh bataaye mujhe
Oh…
Gadbad hai ye sab kya
Oh…
Koyi samjhaaye mujhe
Oh…
(Oh we ee aa owe ee oh
Oh we ee aa owe owe owe owe) -2
Main aisa kyun hoon -4
Main aisa kyun hoon -3
Main jaisa hoon main waisa kyun hoon

Ab mujhko ye hai karna, ab mujhe woh karna hai
Aakhir kyun main na jaanoon, kya hai ke jo karna hai
Lagta hai ab jo seedha, kal mujhe lagega ulta
Dekho na main hoon jaise, bilkul ulta phulta
Bad loonga main abhi kya
Oh…
Maanoon toh kya maaanon main
Oh…
Sudhroonga main kabhi kya
Oh…
Ye bhi toh na jaanoon main
Oh…
Jaane ab mera, hona kya hai (oh)
Lagta hai tumko kya
Jaane ab mera, hona kya hai (oh)
Kya main hoon jaisa bas waisa rahoonga?
Oh we ee aa owe ee oh
Oh we ee aa owe owe owe owe
Karna hai kya mujhko ye maine kab hai jaana
Lagta hai gaaunga zindagi bhar bas ye gaana
Hoga jaane mera ab kya
Oh…
Koyi toh bataaye mujhe
Oh…
Gadbad hai ye sab kya
Oh…
Koyi samjhaaye mujhe
Oh…
(Oh we ee aa owe ee oh
Oh we ee aa owe owe owe owe) -2
Main aisa kyun hoon -4
Main aisa kyun hoon -3
Main aisa aisa aisa hi hoon

Written by bluediamond

October 17th, 2007 at 11:45 am

Lyrics – Dil Chahta Hai – Tanhayee…

with one comment

Tanhaai, tanhaai
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai – 2

(Khwaab mein dekha tha ek aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapnon ke shishe
Chubte hai in aankhon mein) – 2
Kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin
Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi
Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi – 2

(Kyoon aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui) – 2
Ab kahan jaaoon main, kisko samjhaaoon main
Kya maine chaaha tha aur kyoon kismat mein aayi
Tanhaai, tanhaai, jaise andhero ki ho gehraayi
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai – 2
Tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai

Written by bluediamond

May 25th, 2007 at 3:27 pm

Lyrics – Page 3- Kitne ajeeb

without comments

kitne ajeeb rishtey hai yaha pe – 3
do pal milte hai saath saath chalte hai -2
jab mod aaye toh bach ke nikalte hai
kitne ajeeb rishtey hai yaha pe – 2
do pal milte hai saath saath chalte hai -2
kitne ajeeb rishtey hai yaha pe – 2

yaha sabhi apni hi dhun main deewane hai – 2
kare wahi jo apna dil ki hi mane hai
kaun kisko pooche kaun kisko bole -2
sabke labon par apne tarane hai – 2
le jaye nasib kisiko kahape
kitne ajeeb rishtey hai yaha pe – 2

khwaabon ki yeh duniya hai khwaaboh main hi rehna hai – 2
raahen le jaye jaha sangh sangh chalna hai
waqt ne hamesha yaha naye khel khele -2
kutch bhi ho jaye yaha bas khush rehna hai -2
manzil lage kareeb sabko yahape
kitne ajeeb rishtey hai yaha pe
do pal milte hai saath saath chalte hai -2
jab mod aaye toh bach ke nikalte hai
kitne ajeeb rishtey hai yaha pe – 6

Written by bluediamond

May 25th, 2007 at 3:23 pm